Back
ओंकारेश्वर में ममलेश्वर लोक विस्तार विरोधी प्रदर्शन तेज
PSPramod Sinha
Nov 17, 2025 17:51:27
Khandwa, Madhya Pradesh
Omkareshwar me sihath ke pehle mamleshwar lok banane ke virodh mein sthaniya nagrik aur dukaandaroon ne aaj apni dukaanein band rakhkar virodh pradarshan kiya. Band itna asarkarak tha ki bahar se aane wale shraddhalu chai, paani aur naas te ke liye taras gaye. Band ke samarthan mein mandir pahunchne ke raaste mein redi patree par baithkar phool, mala prasaad bechne wale bhi shamil the. VO, rajya sarkar Omkareshwar aur Mamleshwar mandir ke aas-paas ki zameen ko adhigamit kar yahan Mamleshwar Lok banana chahti hai. Is kaam ke liye lagbhag 190 makaan, aur itni hi dukane vistith ki jaayegi. Sthaniya log iisi baat ka virodh kar rahe hain. VI, sihast ke pehle sarkar Omkareshwar tirth nagari ko viksit karne ke liye Narmada nadi ke dono kinare par base Omkareshwar Jyotirling mandir aur Mamleshwar mandir ka vistaar chahti hai. Ujjain ke Mahakal Lok ki tarah hi Omkareshwar mein Mamleshwar Lok banane ki yojna hai. Bahar se aane wale shraddhaluon ko behtar suvidha mile isliye sarkar purani basti ko hata kar vistaar dena chahti hai. Sthaniya logon ka kehna hai ki jila prashasan ne Mamleshwar Lok ka plan banane se pehle sthaniya nagrikon se koi charcha nahi ki. Bait, Pradeep Thakur Pradesh Upadhyaya Hindu Mahasabha. VI, rajya sarkar lagbhag 120 karod rupaye kharch kar Mamleshwar Lok bana rahi hai. Ismein lagbhag saada chaar hectare zameen par bane purane structure adhigamit kiye jaayenge. Jismein dukaan, makaan, hotel, dharmashalaayein aur purane mandir bhi shamil hain. Sthaniya nagrikon ka kehna hai ki vah peedhiyon se yahaan rah rahe hain. Unki dukaanon se hi unki rozi-roti chalti hai. Makaan aur dukaan adhigamit karne se unki rozi-roti par sankat khada ho jaayega. Behtar hoga ki Mamleshwar Lok ka vistaar anya sthano par kiya jaaye. VI, Pandit Navin Kishore Sharma (hat pehne). VI, sthaniya nagrik, aur shraddhalu. VI, sthaniya nagrikon ke virodh ke samarthan ke liye Omkareshwar ke sadhu sant bhi unke samarthan mein khade hain santon ka kehna hai ki Omkareshwar mandir ke aas-paas kaafi purani sanghan basti hai jo tirth nagri ki pehchaan hai. Ise todkar punah banane ke bajay aas-paas ke any kshetron ko vistaar dena chahiye jisse ki Omkareshwar ka vikas ho aur nagrikon ka nuksan bhi na ho. Bait, Mangal Das Tyagi, Adhyaksh Shat Darshan Sant Samaj.
154
Report
हमें फेसबुक पर लाइक करें, ट्विटर पर फॉलो और यूट्यूब पर सब्सक्राइब्ड करें ताकि आप ताजा खबरें और लाइव अपडेट्स प्राप्त कर सकें| और यदि आप विस्तार से पढ़ना चाहते हैं तो https://pinewz.com/hindi से जुड़े और पाए अपने इलाके की हर छोटी सी छोटी खबर|
Advertisement
KSKartar Singh Rajput
FollowNov 17, 2025 19:00:26249
Report
MGMohd Gufran
FollowNov 17, 2025 19:00:14290
Report
CRCHANDAN RAI
FollowNov 17, 2025 18:46:23215
Report
ASAshutosh Sharma1
FollowNov 17, 2025 18:45:26246
Report
PGPARAS GOYAL
FollowNov 17, 2025 18:45:13172
Report
203
Report
ASAshutosh Sharma1
FollowNov 17, 2025 18:36:07101
Report
AKAshok Kumar1
FollowNov 17, 2025 18:35:51Noida, Uttar Pradesh:10 दिनों की रिमांड
कोर्ट ने आमिर को 10 दिनों के लिए NIA रिमांड पर भेजा
169
Report
DKDAVESH KUMAR
FollowNov 17, 2025 18:35:4182
Report
D1Deepak 1
FollowNov 17, 2025 18:35:2890
Report
SBSharad Bhardwaj
FollowNov 17, 2025 18:34:3292
Report
RKRajesh Kumar Sharma
FollowNov 17, 2025 18:33:54143
Report
RKRajesh Kumar Sharma
FollowNov 17, 2025 18:33:23155
Report
NANasim Ahmad
FollowNov 17, 2025 18:33:10119
Report
MDMustak Dal
FollowNov 17, 2025 18:33:0087
Report