Back
रामनगर के गर्जिया मंदिर के गंगा स्नान मेले में आस्था कम भीड़ के साथ देखी
SKSATISH KUMAR
Nov 05, 2025 09:52:32
Jaspur, Uttarakhand
Slg Ramnagar ke Garjia Mandir mein Ganga Snan Mele mein dikhi aastha,shraddhaaldon ki sankhya mein aayi kami, Hanuman Dhaam mein bhi bhaari sankhya mein shraddhalu pahunche shrine ne koosi nadi ke pavitra jal mein aastha ki doobaki lagate hue mata ke darshan kar puja archan ki.
Shahar Ramnagar
Enger.-Budhwar ko Ramnagar ke prasiddh Garjia Mandir parisaar mein Ganga Snan Mele ka ayojan kiya gaya, har saal ki tarah is baar bhi shraddhaluon ne Koshi nadi ke pavitra jal mein aastha ki doobki lagate hue mata ke darshan kar puja archan ki. Iske saath hi Gram Chhoi mein sthit Hanuman Dhaam mein bhi bhaari sankhya mein shraddhalu pahunche aur unhone yahan bhi nadi mein aastha ki doobaki lagakar mandir mein darshan kiye.
Subah se hi mandir parisaar aur nadi kinare shraddhaluon ki bheed jutni shuru ho gayi thi.
Logon ne vidhi-विधान se snan kar devi Garjia ke darshan kiye aur parivar ki sukh-samriddhi ki kamna ki.
Koshi nadi ko yahan ki Ganga kaha jaata hai, aur Garjia mandir mein snan ka yeh mela har saal Kartik Purnima ke aas-paas lagta hai. Uttarakhand ke saath hi Uttar Pradesh, Delhi aur Haryana se bhi shraddhalu yahan pahunchte hain.
Shraddhaluon ki suraksha aur suvidha ke liye mandir samiti aur prashasan ki ore se vishesh intazam kiye gaye.
Nadi kinare gotaakhors ki teamen tainat rahi, mandir samiti ne shraddhaluon ke liye peyjal, prasad aur saaf-safai ki vyavastha ki.
Haalanki is bar pichle varsho ke muqabale bheed mein bhaari kami dekhne ko mili.
Sthaniya logon ka kehna hai ki mausam aur parivahan ki asuvidha ki wajah se shraddhalu kam pahunchay.
Shraddhalu Suman Bisht kehti hain ki har saal yahan aate hain mata ke darshan karne se man ko bahut shanti milti hai, is baar bheed thodi kam hai, lekin mahaul pehle jaisa hi shraddha bhara hai.
Wahin shraddhalu Bhupendra Khat i kahte hain ki Koshi ka pani bahut pavitra mana jaata hai, yahan snan karne se pap dhulta hai, hum kai saal se yahan aa rahe hain, har baar alag anubhav milta hai.
Wahin mandir samiti ke adhyaksh Kuber Singh Adhikari kahte hain ki mela shantipurn chal raha hai, prashasan aur samiti ne milkar poori vyavastha sambhali, bheed bhale hi kam rahi ho, lekin shraddhaluon ki aastha mein koi kami nahi dikhai.
Garjia Mandir ka yeh mela sirf dharmik ayojan nahi, balki lok aastha ka parv hai, jahan shraddha, sanskriti aur Kumaon ki parampara ek saath dikhai deti hai.
Bhale hi is bar bheed kam rahi ho, lekin aastha ki dor pehle ki tarah atoot bani rahi. Mele ko lekar SDO Pramod Kumar, CO Sumit Pandey, Kotwal Sushil Kumar bhi suraksha evam shanti vyavastha ko lekar mela sthal par date rahe.
Baait Number Ek shraddhalu Suman Bisht
Baait Number Do Bhupendra Khat i, shraddhalu
Baait Number Teen Kuber Singh Adhikari, Adhikari, Mandir Samiti
0
Report
हमें फेसबुक पर लाइक करें, ट्विटर पर फॉलो और यूट्यूब पर सब्सक्राइब्ड करें ताकि आप ताजा खबरें और लाइव अपडेट्स प्राप्त कर सकें| और यदि आप विस्तार से पढ़ना चाहते हैं तो https://pinewz.com/hindi से जुड़े और पाए अपने इलाके की हर छोटी सी छोटी खबर|
Advertisement
JSJitendra Soni
FollowNov 05, 2025 12:19:160
Report
GPGYANENDRA PRATAP
FollowNov 05, 2025 12:19:000
Report
OBOrin Basu
FollowNov 05, 2025 12:18:35Noida, Uttar Pradesh:Moh Ansari, President, Minority Rights Protection reax
सीएम रेवंत रेड्डी कह रहे हैं, "अगर कांग्रेस है, तो मुसलमान हैं और सम्मान है; अगर कांग्रेस नहीं है, तो आप (मुसलमान) कुछ भी नहीं हैं।"
0
Report
0
Report
BDBabulal Dhayal
FollowNov 05, 2025 12:17:050
Report
VSVishnu Sharma1
FollowNov 05, 2025 12:15:290
Report
ASABDUL SATTAR
FollowNov 05, 2025 12:14:260
Report
AMAnkit Mittal
FollowNov 05, 2025 12:14:11Muzaffarnagar, Uttar Pradesh:मुजफ्फरनगर में गंदगी से परेशान लोगों ने कीचड़ में जेई की परेड निकाली... जिसकी तस्वीरें सोशल मीडिया पर जमकर viral हो रही है... वहीं अब ये पूरा मामला सोशल मीडिया पर जमकर वायरल हो रहा है...
0
Report
ADAbhijeet Dave
FollowNov 05, 2025 12:14:010
Report
ACAshish Chauhan
FollowNov 05, 2025 12:13:400
Report
BPBHUPESH PRATAP
FollowNov 05, 2025 12:13:220
Report
NJNarendra Jaiswal
FollowNov 05, 2025 12:13:080
Report
BPBHUPESH PRATAP
FollowNov 05, 2025 12:12:510
Report
RKRaj Kishore Soni
FollowNov 05, 2025 12:12:380
Report