Back
बिलासपुर नगर निगम सामान्य सभा में हंगामा, FIR के मसले पर कांग्रेस-भाजपा टकराव
SSSHAILENDAR SINGH THAKUR
Oct 06, 2025 16:19:30
Bilaspur, Chhattisgarh
billaspur nagar nigam ki sadharan sabha somvaar ko jamkar hungame ki bhent chadh gayi. paani, sadak aur kachre jaise janhit ke muddon se zyada mahal tab garmaya jab ek mahila parshad par FIR ko lekar Congress aur BJP aamne-samne aa gaye. wahin, sabhapati ki vyavastha, protocol, aur vikas karyo ko lekar bhi kai parishadon ne khulkar narazgi zahir ki. nagar nigam ki sadharan sabha ki shuruaat se hi sadan ka mahal garam raha. ward kramank 5 ki parshad Gayatri Sahu par pradarshan ke baad darj ki gayi FIR ko lekar Congress aur BJP ke parshadon mein jamkar bahas hui. Parshad Tilakram Sahu ne sabhapati ki protocol vyavastha par sawal khade kiye to neta pratishth Bharat Kshyap ne rajneeti se upar uthkar sabhi parshadon ki samasyaon par gaur karne ki appeal ki. Iske sath hi jalbharav, dukaans ki samasya aur jal vitran ko lekar bhi bahas hui. Mahapoor ne jankari di ki SECL ke sahyog se nai naali nirmaan ki yojana hai jisse jalbharav ki samasya ka samadhan ho sakega. Wahin parshad Pushpendra Sahu ne Mahapoor par ward mein upasthit na rahne ka aarop lagaya, jis par bhi sadan mein bahas chhid gayi.Prashnkaal mein bhi parshadon ne ek ke baad ek sthaniya samasyaon par sawal daage. Motiram Gangkavani ne school mein chori ka mudda uthaya, wahi ward 17 ke parshad ne kachra nishdan ke liye sthayi sthal tay karne ki maang ki. Parshad Rita Kashyap ne Sant Ravidas Nagar mein sadak aur naali ke upar slab ki maang ki, jis par Mahapoor ne rashi milte hi karya shuru karane ka bharosa dilaya. Saath hi unhone saaf kiya ki vikas karyo ko jaati ya rajneeti ke chashme se nahi dekha jana chahiye. Samanaya sabha mein parshadon ne lambi hui avedan ki sthiti aur BJP sarkar banne ke baad mili rashi ka hisaab bhi maanga, jismein bataya gaya ki sadharan mad me 32 lakh aur CC sadak ke liye 3.15 lakh rupaye swikrit hue hain. Ant mein, 2.36 lakh ki lagat se sadak aur naali nirmaan prastaav ko manzoori di gayi, jisse wardon mein samasyaon ke samadhan ki ummid zarur bani hai.
3
Report
हमें फेसबुक पर लाइक करें, ट्विटर पर फॉलो और यूट्यूब पर सब्सक्राइब्ड करें ताकि आप ताजा खबरें और लाइव अपडेट्स प्राप्त कर सकें| और यदि आप विस्तार से पढ़ना चाहते हैं तो https://pinewz.com/hindi से जुड़े और पाए अपने इलाके की हर छोटी सी छोटी खबर|
Advertisement
ADAnup Das
FollowOct 06, 2025 19:03:290
Report
RRRakesh Ranjan
FollowOct 06, 2025 19:02:250
Report
RNRajesh Nilshad
FollowOct 06, 2025 19:02:030
Report
NCNITIN CHAWRE
FollowOct 06, 2025 19:01:520
Report
SSSHAILENDAR SINGH THAKUR
FollowOct 06, 2025 19:01:400
Report
SPSANDIP PRAMANIK
FollowOct 06, 2025 19:01:160
Report
SJSantosh Jaiswal
FollowOct 06, 2025 19:01:060
Report
AAAkshay Anand
FollowOct 06, 2025 19:00:50Noida, Uttar Pradesh:There is an ancient Chinese board game called Go, over 2,500 years old
Played here against an AI robot
0
Report
उत्तराखंड में अल्पसंख्यक शिक्षा विधेयक-2025 को राज्यपाल की मंजूरी; मान्यता प्राधिकरण से होगी मान्यता
AAAkshay Anand
FollowOct 06, 2025 19:00:380
Report
SKSumant Kumnar
FollowOct 06, 2025 19:00:28Delhi, Delhi:Mukhtar Abbas Naqvi IV on Bihar Assembly Election
0
Report
PKPravesh Kumar
FollowOct 06, 2025 19:00:190
Report